Adiyogi


Door us aakash ki gehraiyon mein,
Ek nadi se beh rahe hain Adiyogi,
Shunya sannate tapakte ja rahe hain,
Maun se sab keh rahe hain Adiyogi,
Yog ke sparsh se ab yogmaya karna hai tan man,
Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan,
Utare mujhme Adiyogi,
Yog dhara chalat chan chan,
Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan,
Utare mujhme Adiyogi,
Utare mujhme Adiyogi..

Pees do astitva mera,
Aur kar do choora choora,
Purn hone do mujhe aur,
Hone do ab poora poora,
Bhasm wali rasm kar do Adiyogi,
Yog utsav rang bhar do Adiyogi,
Baj uthe yeh mann sitari,
Jhanan jhanan jhanan jhanan,

Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan..(X2)

Saans saaswat..
Praan gunjan..

Utare mujhme Adiyogi,
Yog dhara chalat chan chan,
Saans saaswat sanan sananan,
Praan gunjan danan dananan,
Utare mujhme Adiyogi..
Utare mujhme Adiyogi..

~ Prasoon Joshi

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

Disclaimer

© આ બ્લોગમા રજૂ થયેલી કૃતિઓના હક્કો (કોપીરાઇટ) જે તે રચનાકાર ના પોતાના છે. આ બ્લોગ પર અન્ય રચયિતાઓની રચનાઓ મૂકવામાં આવી છે તેને કારણે જો કોઇના કોપીરાઇટનો ભંગ થયેલો કોઇને જણાય અને તેની મને જાણ કરવામાં આવશે, તો તેને તરત અહીંથી દૂર કરવામાં આવશે. Disclaimer : This blog is not for any commercial purposes. The entries posted on this blog are purely with the intention of sharing personal interest.

Translate

%d bloggers like this: