Aankhon ko visa nahin lagta
sapnon ki sarhad nahin hoti
band aakhon se roz main sarhad paar chalaa jataa hoon
milne “Mehdi Hasaan” se!
sunta hoon unki awaaz ko chote lagi hai
aur ghazal khamosh hai saamne baithi huyi
kaanp rahe hain honth ghazal ke
phir bhi un aankhon ka lehzaa badlaa nahin —
jab kehte hain
sookh gaye hai phool kitaabon mein
yaar ”Faraaz” bhi bichhad gaye, shaayad milein woh khwaabon mein!
band aakhon se aksar sarhad paar chalaa jataa hoon main!
aankhon ko visa nahin lagta,
sapnon ki sarhad, koi nahin!
—–Gulzar
Recent Comments